10 Paheliyan Apke Dimag ki Chunouti Ke Liye | MindYourLogic Paheliyan
Yahaan hain 10 paheliyan jo aapko sochne par majboor karengi aur muskurahat le aayengi! Paheliyan dimaag ko challenge karne aur mazedar manoranjan ka ek tareeka hai. Toh chaliye, shuru karte hain yeh 10 paheliyon ka safar aur dekhte hain aap kitne sahi jawab de sakte hain!
1. Aisi kaun si cheez hai jise hum nigale toh zinda rah jaayein, agar voh humein nigale toh hum mar jaayein?
Answer: Paani
2. Voh kaun hai jo aapka maal bhi rakhta hai aur paise bhi nahi deta?
Answer: Naai
3. Voh kaun si cheez hai jo, ek jagah se doosri jagah jaati hai, par apni jagah se hilti nahi?
Answer: Road
4. Ek cheez ka sasta rate, lambi gardan mota pet, pehle khud ka pet bharae, phir sabki pyaas bujae.
Answer: Surahi
5. Voh kaun si cheez hai jiske fatne par bilkul bhi awaaz nahi hoti?
Answer: Dudh
6. Raat mein roshni karta hoon, din mein soya karta hoon, sair duniya ki karta hoon, dharti par pair nahi rakhta hoon. Batao kaun?
Answer: Chaand
7. Roz subah mein aata hoon, saari duniya ki khabar laata hoon, sab karein mera intezaar kyonki sab karein mujhse pyaar.
Answer: Akhbaar
8. Tin akshar ka uska naam ulta seedha rahe saman batao kya?"
Answer: Jahaj
9. Kharidne par kaala, jalaane par laal, fekne par safed rang badalne ka khel iska nirala, bujho iska naam?
Answer: Koyla
10. Pratham kate toh dar ho jaun, ant kate toh band ho jaon, kela mile toh khata jaun, bujho mera naam?
Answer: Bandar