8+ Logic Paheli To Test Your Logic | MindYourLogic Logic Paheli
Aaiye solve karte hai kuch logic paheli MindYourLogic ke sath. Is post mein 8 logic paheli di gai hai or sath hi unke answers bhi diye gaye hai. Inme kuch paheli easy hai or kuch challenging bhi hai. Ye logic paheli solve karke apka brain workout bhi hoga or sath hi apka IQ test bhi hoga. To chaliye shuru karte hai ye Logic paheli challenge.
1. New York ke Garden mein ek khoobsurat dolphin ki murti ek foutain ke upar rakhi gayi thi. Ek din, murti chori ho gayi. Sab log foutain ke paas bhaage.
Inspector Gal nazdeek tha, toh jaldi se garden ke andar gaya aur wahan ke logon se puchtach ki jo uss samay garden mein the,
Pahla admi - "Mujhe office jaldi jaana tha toh maine kuch nahi churaya."
Dusra admi - "Main sirf yahan jogging karne aaya tha, mujhe bhi kuch nahi pata."
Teesra admi - "Main apne kutte ke saath khel raha tha."
Chaotha admi -"Main Garden ke Cafe mein coffee pee raha tha toh mujhe bhi kuch nahi pata,"
Pachwa admi - "Main apni girlfriend ka wait kar raha tha; mujhe kuch nahi pata."
Kya ap niche di hui clue image ko dhyan se dekhkar bata sakte hai Dolphin kisne churaya hai ?
Answer: Kyunki dolphin ko foutain paar karke hi hataaya ja sakta hai. Aur paanchwe aadmi ke pair gile hain, matlab usne foutain ko paar kiya hai.
Isse Inspector Gal ko samajh aata hai ki chori usne ki hai aur vo usse turant arrest kar leta hai.
2. Anna ke pati ki death ho jati hai. Anna, turant Inspector Pam ko bulati hai. Pam, jaldi se crime spot par pahunchta hai. Aur pure din mein kya kya hua tha Anna se puchta hai. Anna usse kehti hai, "Main apne pati se bahut pareshan thi. Wo poora din khaate rehte the. Maine socha, aaj se unko diet plan par rakhungi, aur maine unhe khana bhi nahi diya!" Baad mein, main office gayi. Jab shaam ko wapas aayi, toh maine dekha ki mere pati mar chuke hai, aur apple waisa hi rakha hua tha.
Anna ke alawa, wahaan do aur log the. Maid aur gardener. Maid inspector ko kehti hai, ki usse gardener par shak hai. Uski nazar sir ke paise par thi. Shayad usne unhe maar diya ho.
Gardener kehta hai, ki vo aaj ghar nahi aaya hai, isliye usey kuch nahi pata. Haan, par madam ka bahar koi chakkar chal raha tha.
Anna kehti hai, Gardener jhoot bol raha hai. Usne mere pati ko mara hai. Teeno ki baate sun kar, inspector Pam ko samajh aata hai, ki yeh ek murder hai. kaise?
Kya ap bata sakte hai?
Answer: Maid or Anna jhut bolrhe the. Maid or Anna ne milkar uska murder kiya hai. Agar apple subh cut kia tha to evening tak vo sad hi jata hai.
3. Ek gufa mein Riya phansi hui hai. Uske saamne teen darwaze hain jinse wo bahar nikal sakti hai.
Pehle darwaze ke peeche, usse aag se jala diya jayega.
Agar Riya doosre darwaze se jaayegi, toh us par ek bhaari vajan gira diya jayega.
Agar Riya teesre darwaze se jaayegi, toh usse waha sheron ka samna karna padega.
Kya app bata sakte hai riya konsa darwaza chunegi?
Answer: Riya ne ek idea socha, usne apni sandal nikali aur dusre darwaze ke taraf fek dia.. Jaise hi vajan gir gaya, Riya Door 2 se gufa se surakshit bahar nikal gayi.
4. Mr. D'souza ka apne hee ghar mein murder ho jata hai. Detective mehul turant vaha chanbin ke liye pahuchta hai. Us waqt, ghar mein chaar log the. Mehul sabhi se puchtach karta hai.
Maid - "Main bartan dho rahi thi. Mujhe kuch nahi pata."
Cook - "Main subah se dopahar tak khana bana raha tha. Mujhe bhi kuch nahi pata."
Gardener - "Main subah se Garden mein kaam kar raha tha. Main aaj Mr. D'souza se mila bhi nahi. Mujhe kuch nahi pata."
Mechanic - "Mr. D'souza ki gaadi mein kuch theek karne ki zarurat thi, isliye main usse theek karne aaya. Mujhe bhi kuch nahi pata."
Kya app ye images ko dekh kar bata sakte hai ki Mr. D souza ko kisne mara hoga?
Answer: Agar gardener subah se lawn mein kaam kar raha tha, toh uske kapde aur gloves itne saaf kaise hain. Iska matlab gardener ne hi unhe mara hai.
5. Ek din, ek ladki police station jaati hai aur inspector Ganpat ko bataati hai ki uska cell phone chori ho gaya hai. Wo raste se jaa rahi thi us waqt ek admi aya or uska phone chin kar bhag gaya.
Inspector Ganpat chanbin ke liye jaate hai, Toh waha unhe 3 log milte hai. Inspector Ganpat ko teeno par shaq hota hai, vo teeno se puchtach karte hai. Teeno ne kaha ki unhone us ladki ka phone nahi churaya hai aur unke paas apne khud ke phones hai. Inspector Ganpat ne unke phones le liye aur turant samajh gaye ki kaun chor hai. Kya aap bata sakte hain kisne uska phone churaya hoga?
Answer: Agar aap dhyan se dusre admi ka wallpaper dekhte hai, toh us wallpaper mein vahi kutta hai jo ladki ke hath mein hai. Iska matlab dusre aadmi ne phone churaya hai.
6. Kushal lagta hai aaj firing karne ki practice kar raha hai. Gogo ke sath shayad Wednesday ko theek 6:45pm ko ladne ki practise kar raha hai.
Arre, 2 nishane barbar diwar pe lage, lekin kya aap bata sakte hai kaunsa hole pahle hua?
Answer: Hole B pehle hua hoga kyunki Hole A ka crack Hole B pe aake ruk raha hai, matlab crack B pehle hua.
7. Gaon me ek ghar mein chori hogai thi. Par us gaon mein koi police station nahi tha. Isliye police ko dusre gaon se bulaya gaya, lekin police nahi aayi. Iska asar yeh hua ki sthaaniya nivaasiyon ne commissioner se shikayat ki. Commissioner police station par jaate hain aur police adhikari se report ke bare mein puchte hai. Adhikari kehta hai, "Maine chori ki jagah par jaanch ki aur maine ek report bhi likh di."
Commissioner report ko report karne ke liye kehte hain.Toh adhikari kehta hai, "Jab main chori ki jagah par pahuncha, toh waha sab kuch ulta-pulta tha.
Drawer khula hua tha, kursi gir gayi thi, aur ek kitaab jisme page numbers 11 aur 12 likhe the, woh bhi khuli hui thi."
Commissioner ko ye sab jhut lagta hai.
Kaise? Commissioner ko kaise pata chalta hai ki adhikari jhoot bol raha hai?
Kya app bata sakte hai?
Answer: Adhikari ne daawa kiya ki pages 11 aur 12 khule the, lekin yeh dono ek dusre ke bilkul vipreet hai. Issi se commissioner ko pata chalta hai ki adhikari jhoot bol raha hai.
8. Ek baar Sejal jungle se guzar rahi thi achanak uski car ek ped se takra gayi. Vo car se bahar nikli aur ek bhayanak toofan ko dekha jo uski taraf aa raha tha. Toofan ka size itni tezi se badh raha tha ki uski car bhi utha le sakta tha. Sejal kafi dar gai. Uske samne teen vikalp the khud ko bachane ke liye.
Pahla - Khud ko bachane ke liye bhaagne ki koshish karna.
Dusra - Pas ke ek gadde mein jaana.
Teesra - Ek ped par apni suraksha ke liye chadhna.
Kya aap bata sakte hai ki uske liye sabse surakshit vikalp kaunsa hoga?
Answer: Sejal ko bhaagna nahi chahiye kyunki toofan ka size bahut tezi se badh raha tha aur woh toofan se zyada tezi se nahi bhaag sakti thi. Uske liye ped par chadhna bhi surakshit nahi hoga kyunki toofan upar se zyada taqatwar hota hai. Usko paas ke gadde mein khudna chahiye, yeh uske liye aasan hoga aur vo bach jayegi.